Dard Bhari Shayari

Aaj shab mein jaag raha tha


Aaj shab mein jaag raha tha. .
Sehen mein betha soch raha tha. .
Itny mein chupke se chaand mery pas
Aa betha Aur kehny laga
Ik baar chali jaye to
Ye zindagi laut kar nahi aati
Ye kah kar wo
Kahi’n door badal’on ki aot
Mein chup gaya
Aur mein ne hawa’on k hath
Ye sandesa bheja
Mujhy ik baar mil jao
Ye zindagi laut kar nahi aati
usey kehna. . . !

Dard Bhari Shayari

Milna hai tu khud aa k mil

Milna hai tu khud aa k mil
Na bhej in band tehreer’on ko
Ye to such hai k tasalli ka imkaan hoti hain
lekin mujhy nahi pehenna in zanjeer’on ko
Kyun har baat ko muqaddar per taal rakhta hai
na laaya kar beech mein peeron ko
Marna tha to khud hi ek roz kah dety
Kia zarurat thi ye kehny ki aankhon k teer’on ko
Bus karo in zulm’on ki inteha kahin aisa na ho
Ik roz bedaar kar de ‘Gul’ k zameer’on ko. . !

Dard Bhari Shayari

Suna karty they jin khush’ion ka haal


Suna karty they jin khush’ion ka haal

Aaj wohi jhonpri’an barbaad ho gaeen

Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein

Mushkilain tou boht aain magar aasan ho gaeen

Teri umeed aur tery intezaar k aanso

Boht hasratain mileen magar fanaa ho gaeen

Jab bhi dekha kisi ujerty huay ko ‘Gul’

Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen. . !

Dard Bhari Shayari

Jab se tu mujh ko hai chorr kar gaya

Jab se tu mujh ko hai chorr kar gaya. .
Ye dil ka hansta hua sheher bayabaa’n ho gaya. .
Meri aarzoo mein teri aarzoo thi jaan. .
Tery baad mein bolta hua be-zuban ho gaya. .
Pehly darta tha mein maut se subha-o-shaam. .
Magar tery baad mujhy marna aasaan ho gaya. .
Tery baad to ye saara sheher veeran tha. .
Mein samjha tha k sirf mera nuqsaan ho gaya. .
Ye batao k aisi bhi kia ghalti ki thi ‘Gul’ ne. ..
K tu hum se youn achnak anjaan ho gaya. . !